Kya hai Khud ki Khoj

Yah bahut purani maanyata hai par agar aap chahe to use Kahani bhi maan sakte hain hai..

Kehte hain bhagwan ne sabse aakhir mein insaan ko banaya aur uske baad usne kuchh nahin banaya.. aur banaa bhi kaise hi pata kyunki bohot jald use ehsaas ho gaya ki yah mujhse bahut badi bhool ho gai hai.. use nahin pata tha ki yahi insan uski jaan ke piche sabse jyada hath dho padhne wala hai..aur aisa peeche padega ki apni zindgi k shuru se uski maut tak bas usi ko har acche bure me ghaseetega ..bahut pareshan rahane ke bad devtaon ki meeting bulai gai usmein sab ke sujhav maange aur pucha gaya sabse ki kaise bacha jae is insaan naam ki bala se.... kisi ne kaha pahadon per chale jao.. bhagwan ne dekha to insan wahan pahunch chuka tha.. Fir kisi ne kaha paatal mein chale jao..dukh ki baat hai thi ki insan vahan bhi pahunch gaya tha.. kisi ne kaha aasman mein par rahat vaha bui kahan thi.. aakhri kisi ne Chaand(moon) bola par insan vahan bhi pahunch chuka tha..fir kisi bhale sabhagan(member) ke is sujhav ko sunkar kahin bhagwan ko chain pada..us member ne bola ki insan aapko har jagah dhundh nikalega.. per ek jagah hai Jahan aap safe rahenge.. ku na insan ke andar hi chupp jaya jae.. vo sala har jagah dekhega per apne andar jhaank kar kabhi nahin dekhega..
To kuchh aisa he mere sath bhi hai..is Kahani se main khud ko is tarah relate kar paya ki mera bhagwan shayad mere andar hi hai.. jarurat hai to sirf use khojne ki...mere khushi ,pyaar,gussa ,misery ,pain sab mere andar se aata hai..jaise mai khud ko jaanta hu aur koi bhi nahi janta..mai jaan na chahtahu ki kaise mujhe koi situation mere control se bahar le jaati hai aur mujhe un cheezo me uljha deti hai vo mere andar se to bilkul nahi aai thi..yahi khoj raha hu mai.. Kyunki mujhe lagta hai ki agar mai ye sab khoj paya to wahi mujhe poornta ki anubhooti k aur kareeb le ja paega.. to agar mai use paa na bhi paya par shayd uske kareeb to pohoch he jaunga.. aur uske kareeb matra pahunch Jana he kisi ko bhi paramsukh ka anand de dega.. this is the basic difference between achieving in materialistic world and in spiritual world.. materialistic duniya mein agar aapko vo mil bhi jaaye jo aapko chahie to kuch waqt k baad aapko kisi aur cheez ki chah hone lagti hai aur aadhyatm ki duniya mein agar aap Viraat(moksha - that greatest peace of mind) ko chase bhi kar rahe hain par maan leejiye ki usse dur he reh gae to use choona matra bhi aapko completeness ke ehsas ke bahut kareeb pahuncha dega jo materialistic world kabhi nahin de sakta.. to shayad usi completeness ko dhundh Raha hoon main bhi.. mauka mile to dhyan jarur dijiyega kisi na kisi stage per jindagi mein kabhi.. kuki wahi completeness ka ehsas hi moksh hai. Aur isi poore process ko maine naam diya hai Meri kHUD KI KHOJ...

Comments