Posts

Kya hai Khud ki Khoj

Yah bahut purani maanyata hai par agar aap chahe to use Kahani bhi maan sakte hain hai.. Kehte hain bhagwan ne sabse aakhir mein insaan ko banaya aur uske baad usne kuchh nahin banaya.. aur banaa bhi kaise hi pata kyunki bohot jald use ehsaas ho gaya ki yah mujhse bahut badi bhool ho gai hai.. use nahin pata tha ki yahi insan uski jaan ke piche sabse jyada hath dho padhne wala hai..aur aisa peeche padega ki apni zindgi k shuru se uski maut tak bas usi ko har acche bure me ghaseetega ..bahut pareshan rahane ke bad devtaon ki meeting bulai gai usmein sab ke sujhav maange aur pucha gaya sabse ki kaise bacha jae is insaan naam ki bala se.... kisi ne kaha pahadon per chale jao.. bhagwan ne dekha to insan wahan pahunch chuka tha.. Fir kisi ne kaha paatal mein chale jao..dukh ki baat hai thi ki insan vahan bhi pahunch gaya tha.. kisi ne kaha aasman mein par rahat vaha bui kahan thi.. aakhri kisi ne Chaand(moon) bola par insan vahan bhi pahunch chuka tha..fir kisi bhale sabhagan(member) ke i...